Sunday 23 September 2012

phir..

Naa jane kaha waqt le jay hume..
ye wqt na jaane beet ke ayga ya nahi..
door tanha raah par sath na chodna.. khud ko akela pau na kabhi..
har pal sikhata hai kuch phir beet jata hai waqt..
jo galtiya ki na dohrau unhe kabhi..
logo ki bheed me fir khud ko akela pau na kabhi..
mushkil se milte hai log jo zindgi jeena sikhate hai..bahut muddat ke baad milte hai kuch jo zindgi ban jate hai..
andheri raato me na khud ko khona hai phir..kahi khamoshi me khud ko akela pau na fir..
aasu dene wale milte hai bahut..unhe pochne wale milte hai kam..
dukh dene wale hai bahut..usme sth rehne wale hai kam..
phir baarish ki bundo mein rone lag jau na kabhi..
fir akeli padh jau na kahi..
beeta waqt kabhi laut k aye ya nahi..
sunsan sadko pe kabhi khud ko akela phir na pau..
kahi khamoshi me ghum na ho jau....

No comments:

Post a Comment