Zindagi ka taufa milta hai kuch naseeb walo ko..
taraste hai kuch zindgi paane ko..
milti hai jinhe na kadar karte hai iski..
pal pal lagta hai boz unhe jeena ye zindgi..
hai ase kai jo sadko par bhatakte hai..
na haath hai kisi ke , na per , lakdiyo ke sahare chalate hai apni zindgi ka pahiya..
muskurate hai har dum vo, jeete hai apni zindgi..
aur dusri taraf rote hai hum, na jeena chahte ye zindagi..
ghut ghut ke rote hai hum ,na dard bayaan kar paate laavz..
dekh sakte hai sansaar saara phir bhi har rah se muh mod lete hai..
roshni se bhari hai humari zindgi , kuch me toh bas andhera hai..
gum ke sagar me hum doobe aur un kuch ke paas bas muskurata chehra hai..
gum hai zindgi me sabke..
nazariya alag alag hai dekhne ka..
bhaagte hai kuch..kuch sisakte hai raat bhar..
kuch kamosh ho jaate hai..kuch sbse door ho jate hai..
na bolte kuch..
khud ke andar dafan kar lete hai har raaz..
kahi kamoshiya itni na ho jaye ki kho de hum khud ko..
kho de hum sabko....